Friday, July 22, 2011

Mere Papa

wo scooter ke jate he TV chalu karna,
unke aate hi balla fenk ke ander bhagna...
kam marks aane pe bhi unka gussa nahi hona
unka kabhi sachca kahi jhutaa dantna gussana
raat ko unke hath pe sar rakh ke sona
bade hone pe unse bahas-ladaai karna
unki baat pe chid jana, khud ko samajhdar jatana
ghar se unka phone karna aur haal puchhna
idher unki badti umar ki chinta karna

kese me bada ho gaya..aur papa bude ho gaye..
ab jake unki mahanta ka ehsaas ab hona
kahi aur ankahi kitni bhavnaye he aankhon me
fir bhi mera unkii aankho ka tara hona....
Happy father's day

No comments:

Post a Comment